Gravatar Kya Hai ?
Gravatar ko ham Globally Recoginzed Avatar bhi kehte hai. Jise Tom Prister-Werner ne 2007 me start kiya tha. Gravatar account hamare liye internet ki identity ki tarah hota hai jaise ki facebook, twitter etc. par hamari pehchan unki Id se hoti hai usi tarah internet par pehchan banane ke liye ham gravatar par accont banate hai. Jab ham isme ek baar apna account bana lete hai to uske baad jab bhi ham kisi bhi wordpress blog par comment karenge to hame comment me apni gravatar photo dikhayi degi.
Gravatar Hamare Liye Kyo Zaruri Hai ?
Jaisa ki maine upar bata diya hai ki gravatar hamare online identity ki tarah hota hai jo ki puri duniya me hamari alag pehchan banane me madad karta hai. Or agar aap ek blogger hai to aapka gravatar par account hona bahut zaruri he kyoki jab bhi aap kisi wordpress websites par comment kare to aapko comment me aapki photo show kare chahe wo aapki website ho ya kisi dusre ki aur comment me photo dikhayi dene se dusri website wale aapko aapki photo ki madad se jaldi pehchan jate he jisse aapke or unke beech me relation accha hota hai.
To ab aapko ye to pata chal gaya hai ki gravatar par account banana hamare liye kitna zaruri he. Isiliye ab ham janenge ki gravatar par account kaise banate hai.
Gravatar Par Account Kaise Banaye ?
Sabse pehle aap gravatar.com par jaye uske baad or Creat Your Own Gravatar par click kare.
1. Agar aapka pehle se hi wordpress par account he to aap usi account se Login bhi kar sakte ho.
2. Is box me apna Email address enter kare.
3. Isme apna Username enter kare
4. Isme apna Paasword select kare.
Or ab aap Signup ki button par click kare.
Email Confirmation

Ab aapki Email Id par Gravatar ki taraf se ek message aayega aapko message me Activate account par click karke Email Id confirm karni hai.
Jaise hi aap message me click karke Email confirm karoge to aapka Gravatar account ban jayega aur ab aap isme apni photo upload kar sakte ho. Aap chahe to isme ek se jyada email id bhi add kar sakte ho.
Gravatar Par Apni Photo Kaise Upload Kare
Gravatar Par Apni Photo Kaise Upload Kare
Ab aap Gravatar ki site par jake Login kare or image par mouse cursor le jane ke baad Add an Image par click kare. Iske baad aapke samne ek dusra page khulega usme aapko image add akrni hai.
1. Upload new : ispe click karke aap direct apne Computer/Mobile me se photo select kar sakte hai.
2. From URL : isme aap apne website ke image ka url dalkar bhi image set kar sakte hai.
3. Past upload : agar aapne pehle koi image gravatar me upload ki thi to aap is option me se bhi profile picture select kar sakte hai.
4. From webcame : agar aapke paas koi bhi photo nahi hai to aap is option par click karke photo capture kar sakte ho aur profile par laga sakte ho.

Gravatar Profile Setup Kaise Kare
1. My Profile par ke tab par click karke
2. In box me apna First name aur Last name dale.
3. Is box me apna Full name dale.
4. Is box me jo bhi name aap website or comment me dikhana chahte he wo name dale.
5. Isme aap apni Location dale. Jaise me India se hu to Maine India dala hai.
6. Is box me aap apne bare me thoda bahut likhe jo bhi aap likhna chahte hai. Ex. Aapka passion kya hai, Aap kya karna chahte hai etc.

Ab aap Save Profile ki button par click kare.
Congratulation ab aapki Gravatar id puri tarah se ban chuki hai. Ab aap jab bhi kisi wordpress blog par comment karoge to comment me aapki photo show hone lagegi. Agar aapko Gravatar account banane me koi bhi samasya aa rahi hai to aap hamse puch sakte hai aur Aapko ye jankari kaisi lagi hame comment karke zarur bataye aur agar aapko ye jankari acch lage to ise social sites par bhi follow kare or hamari sabhi nayi post ki jankari free me apne Email par pane ke liye hame Subcribe zarur kare.
Thank you…
0 Comments
Your Email address will not be published.